SlideShare uma empresa Scribd logo
1 de 9
Baixar para ler offline
Allama Muhammad Iqbal


      Shikwa
         &
   Jawab-e-Shikwa



       Courtesy: Shahid Riaz
        shahid.riaz@gmail.com
Shikwa
   Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,

 Naale bulbul ke sunoon, aurhama tan gosh rahoon,
Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon?

   Jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujhko,
   Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko.

                 _______________

     Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le,
     Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le.

    Thi tau maujood azal se hi tiri zaat-e-qadim,
Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim;

      Shart insaaf hai, ai, sahib-e-altaf-e-amim,
     Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim?

                 _______________

    Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir,
  Kahin masjood the pather, kahin maabood shajar,

   Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar,
    Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?

     Tujhko maalum hai leta tha koi naam tira?
   Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya Kaam tira!

                 _______________

     Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi,
    Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi,

     Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi,
    Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi,

        Par tire naam pe talwar uthai kis ne,
       Baat jo bigri huri thi who banaai kis ne?

                 _______________

    The hameen ek tire maarka aaraaon mein!
  Khushkion mein kabhi larte, kabhi dariyaon mein,

   Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein,
      Kabhi Africa ke tapte hue sahraaon mein.

    Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke lieye,
Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke lieye?
_______________

   Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti,
    But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti?

  Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne,
 Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne.

   Tu hi kah de ke ukhara dar-e-Khyber kis ne,
  Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne?

               _______________

  Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne?
   Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne?

  Aa gaya ain laraai mein agar waqt-e-namaz,
  Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz,

 Ek hi saf mein khare ho gaye mahmud-o-Ayaz,
  No koi banda raha aur no koi banda nawaz.

               _______________

    Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek hue,
   Teri sarkar mein pahunche tau sabhi ek hue.

Mehfil-e-kaun-o-makaan mein shar-o-shaam phire,
      Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire.

Dasht tau dasht hain, darya bhi na chhore hum ne,
 Bahr-e-zulmaat mein daura diye ghore hum ne.

               _______________

  Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne,
 Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne,

   Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne,
   Tere Quraan ko seenon se lagaya hum ne.

 Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin,
  Hum wafadar nahin, tu bhi tau dildar nahin!

               _______________

  Rahmaten hain tiri aghiyar ke kashaanon par,
  Barq girti hai tau bechare Musalmaanon par!

 Yeh shikait nahin, hain un ke khazane maamur,
Nehin mehfil mein jinhen baat bhi karne ka shaoor,

Qahar tau yeh hai ke kafir ko milen hoor-o-qasoor,
 Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor!
_______________

    Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai,
    Kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai?

 Hum tau jeete hain ke duniya mein tira naam rahe,
   Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe?

     Teri mehfil bhi gai, chahne walw bhi gaye,
  Shab ki aahen bhi gaien, subah ke nale bhi gaye,

                 _______________

     Dil tujhe debhi gaye, apna sila le bhi gaye,
    Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye.

      Aae ushaaq, gaye waada-e-farda lekar,
    Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar!

   Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi,
  Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi,

                 _______________

    Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi,
   Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi,

    Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani,
Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani?

     Ishq ki khair, who pehli si ada bhi na sahi,
      Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi,

                 _______________

   Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai,
     Baat kahne ki nahin, tu bhi tau harjaai hai.

  Ahd-e-gul khatam hua, tut gaya saaz-e-chaman,
  Ur gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman.

  Ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak,
 Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak.

                 _______________

  Qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi huin,
   Pattian phool ki jhar jhar ke pareshan bhi huin;

   Who purani ravishen bagh ki weeran bhi huin,
    Daalian parahan-e-barg se uriaan bhi huin.

     Qaid-e-mausim se tabiat rahi aazad uski,
   Kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski.
_______________

   Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon,
    Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon.

  Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon,
  Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon.

Ajmy khum hai tau kya, mai tau Hejaazi hai miri,
Naghma Hindi hai tau tya, lai tau Hejaazi hai miri.

               _______________
Jawab-e-Shikwa
      Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai,
   Par nahin, taaqat-e-parwaaz magsr rakhti hai.

     Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai,
   Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai.

    Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira,
      Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira.

                 _______________

    Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi!
     Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi!

   Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi!
   Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi!

Kuchh jo samjha tau mere shikwe ko Ruzwan samjha,
    Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha.

                 _______________

 Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya!
 Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya!

  Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya?
   Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya?

Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain,
 Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain,

                 _______________

    Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai,
   Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai?

     Aalam-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai,
    Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai.

     Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko,
     Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko!

                 _______________

      Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira,
      Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira.

    Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne,
  Hum sakhun kar diyabandon ko khuda se tu ne.

  Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin,
    Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
_______________

     Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin,
   Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin.

    Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain;
   Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain!

   Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain,
    Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain.

                 _______________

  But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain,
      Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain.

  Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye,
  Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye.

    Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha,
    Naazish-e-mausim-e-gul lala-e-sahraai tha!

                 _______________

      Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha,
     Kabhi mehboob tumhara yehi harjaai tha.

    Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne?
   Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne?

    Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne?
     Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne?

                 _______________

 The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho?
    Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho!

Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur,"
   Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor!

      Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur,
    Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur;

                 _______________

   Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin,
   Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin.

     Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek,
      Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek,

     Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek,
   Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek!
_______________

    Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain.
   Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain?

 Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib,
   Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib.

     Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib,
   Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib.

                 _______________

    Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se,
     Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se.

  Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood,
Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood?

Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood,
Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud?

                 _______________

        Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho,
     Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho!

    Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai,
 Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai?

 Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem,
    Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim!

                 _______________

  Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai,
      Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai.

     Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai,
    Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai.

   Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali,
 Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali,

                 _______________

    Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali,
     Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali.

     Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai,
       Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai.

     Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka,
  Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.
_______________

    Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera,
Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera.

Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu,
    Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu.

 Ki Mohammed se wafa tu ne tau hum tere hain,
Yeh jahan cheez hai kya, lauh-eo-qalam tere hain.

               _______________

Mais conteúdo relacionado

Mais procurados

Subject verb agreement (bengali version)
Subject   verb agreement (bengali version)Subject   verb agreement (bengali version)
Subject verb agreement (bengali version)Exam Affairs!
 
Ted hughes (!)
Ted hughes (!)Ted hughes (!)
Ted hughes (!)Fatima Gul
 
DrIqbal_poens_Translation
DrIqbal_poens_TranslationDrIqbal_poens_Translation
DrIqbal_poens_TranslationM.Hssain Aazad
 
Alms in the name of a blind horse
Alms in the name of a blind horseAlms in the name of a blind horse
Alms in the name of a blind horseNisha Paliwal
 
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.Trinidad Porretti
 
Faiz ahmed faiz
Faiz ahmed faizFaiz ahmed faiz
Faiz ahmed faizBabar Ali
 
Surah al Momin/ Ghafir 2021 Urdu
Surah al Momin/ Ghafir 2021 UrduSurah al Momin/ Ghafir 2021 Urdu
Surah al Momin/ Ghafir 2021 UrduSHAISTA_HASAN
 
Mirza asadullah khan GHALIB
Mirza asadullah khan GHALIBMirza asadullah khan GHALIB
Mirza asadullah khan GHALIBmuhammad ghalib
 
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...Bahram Kazemian
 
Marxism and sons and lovers
Marxism and sons and loversMarxism and sons and lovers
Marxism and sons and loversAlexander Decker
 
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZ
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZTHE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZ
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZSheikh Hasnain
 
Islam me Firqa Wariat.pdf
Islam me Firqa Wariat.pdfIslam me Firqa Wariat.pdf
Islam me Firqa Wariat.pdfEngr
 
World Theatre II - The Cherry Orchard
World Theatre II - The Cherry OrchardWorld Theatre II - The Cherry Orchard
World Theatre II - The Cherry Orchardgiangiacomocolli
 
Arms and the man
Arms and the manArms and the man
Arms and the manmanishj007
 
Aestheticism and decadent movements
Aestheticism and decadent movementsAestheticism and decadent movements
Aestheticism and decadent movementsEsma Alver
 

Mais procurados (20)

Subject verb agreement (bengali version)
Subject   verb agreement (bengali version)Subject   verb agreement (bengali version)
Subject verb agreement (bengali version)
 
Ted hughes (!)
Ted hughes (!)Ted hughes (!)
Ted hughes (!)
 
DrIqbal_poens_Translation
DrIqbal_poens_TranslationDrIqbal_poens_Translation
DrIqbal_poens_Translation
 
Alms in the name of a blind horse
Alms in the name of a blind horseAlms in the name of a blind horse
Alms in the name of a blind horse
 
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.
Analysis of "Games at twilight"- By Anita Desai.
 
Ozymandias
OzymandiasOzymandias
Ozymandias
 
Faiz ahmed faiz
Faiz ahmed faizFaiz ahmed faiz
Faiz ahmed faiz
 
Surah al Momin/ Ghafir 2021 Urdu
Surah al Momin/ Ghafir 2021 UrduSurah al Momin/ Ghafir 2021 Urdu
Surah al Momin/ Ghafir 2021 Urdu
 
Arms & the Man ppt.pptx
Arms & the Man ppt.pptxArms & the Man ppt.pptx
Arms & the Man ppt.pptx
 
Mirza asadullah khan GHALIB
Mirza asadullah khan GHALIBMirza asadullah khan GHALIB
Mirza asadullah khan GHALIB
 
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...
Gender Issues in the Lion and the Jewel by Wole Soyinka: A Linguistics-Orient...
 
Marxism and sons and lovers
Marxism and sons and loversMarxism and sons and lovers
Marxism and sons and lovers
 
Ice candy man
Ice candy manIce candy man
Ice candy man
 
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZ
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZTHE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZ
THE HOLY WOMAN BY QAISRA SHAHRAZ
 
Islam me Firqa Wariat.pdf
Islam me Firqa Wariat.pdfIslam me Firqa Wariat.pdf
Islam me Firqa Wariat.pdf
 
World Theatre II - The Cherry Orchard
World Theatre II - The Cherry OrchardWorld Theatre II - The Cherry Orchard
World Theatre II - The Cherry Orchard
 
Passage to India
Passage to India Passage to India
Passage to India
 
Arms and the man
Arms and the manArms and the man
Arms and the man
 
Anna karenina summary
Anna karenina summaryAnna karenina summary
Anna karenina summary
 
Aestheticism and decadent movements
Aestheticism and decadent movementsAestheticism and decadent movements
Aestheticism and decadent movements
 

Semelhante a 23183292 shikwa-jawab-e-shikwa

Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoMuhammadAhsanProfile
 
Maqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaatMaqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaatmaqsood hasni
 
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?  BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT? maqsood hasni
 
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH  URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH maqsood hasni
 
New text document
New text documentNew text document
New text documentShaik Uddin
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainmaqsood hasni
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriSalim Rawat
 
Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain
Angraizi  donyaan ki behtarein zoban nahain Angraizi  donyaan ki behtarein zoban nahain
Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain maqsood hasni
 
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab maqsood hasni
 
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar maqsood hasni
 
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana haiMasoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana haimnqureshi226
 
Planning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectivePlanning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectiveazeez luthfullah
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat maqsood hasni
 

Semelhante a 23183292 shikwa-jawab-e-shikwa (20)

Insan
Insan Insan
Insan
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 
Maqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaatMaqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaat
 
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?  BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH  URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
 
Hayat e Goraizaan
Hayat e GoraizaanHayat e Goraizaan
Hayat e Goraizaan
 
New text document
New text documentNew text document
New text document
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
 
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zarooriPaaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
Paaki naapaaki ke masail aur khawatein ke mutaalliq zaroori
 
LOVE SHAYARI
LOVE SHAYARILOVE SHAYARI
LOVE SHAYARI
 
Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain
Angraizi  donyaan ki behtarein zoban nahain Angraizi  donyaan ki behtarein zoban nahain
Angraizi donyaan ki behtarein zoban nahain
 
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
 
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
 
Insan aur zobanain
Insan aur zobanainInsan aur zobanain
Insan aur zobanain
 
Mohabbat naama
Mohabbat naamaMohabbat naama
Mohabbat naama
 
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana haiMasoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
Masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai
 
Nusrat fateh ali khan lyrics
Nusrat fateh ali khan lyricsNusrat fateh ali khan lyrics
Nusrat fateh ali khan lyrics
 
Planning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspectivePlanning: Islamic perspective
Planning: Islamic perspective
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
 

23183292 shikwa-jawab-e-shikwa

  • 1. Allama Muhammad Iqbal Shikwa & Jawab-e-Shikwa Courtesy: Shahid Riaz shahid.riaz@gmail.com
  • 2. Shikwa Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon? Fikr-e-farda na karum, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon, Naale bulbul ke sunoon, aurhama tan gosh rahoon, Hamnawa main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon? Jurrat aamoz miri taab-e-sakhun hai mujhko, Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko. _______________ Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le, Khu gar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le. Thi tau maujood azal se hi tiri zaat-e-qadim, Phool tha zeb-e-chaman, par na pareshan thi shamim; Shart insaaf hai, ai, sahib-e-altaf-e-amim, Boo-e-gul phailti kis tarah jo hoti na nasim? _______________ Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzir, Kahin masjood the pather, kahin maabood shajar, Khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insaan ki nazar, Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar? Tujhko maalum hai leta tha koi naam tira? Quwwat-e-baazoo-e-Muslim ne kiya Kaam tira! _______________ Bas rahe the yahin salijuq bhi, toorani bhi, Ahl-e-chin cheen mein, Iran mein sasaani bhi, Isi maamoore mein aabad the Yunaani bhi, Isi duniya mein Yahudi bhi the, Nusraani bhi, Par tire naam pe talwar uthai kis ne, Baat jo bigri huri thi who banaai kis ne? _______________ The hameen ek tire maarka aaraaon mein! Khushkion mein kabhi larte, kabhi dariyaon mein, Di azaanen kabhi Europe ke kaleesaaon mein, Kabhi Africa ke tapte hue sahraaon mein. Thi na kuchh teg zani apni hakumat ke lieye, Sar ba-kaf phirte the kya dahar mein daulat ke lieye?
  • 3. _______________ Qaum apni jo zar-o-maal-e-jahan par marti, But faroshi ke iwaz but shikni kyon karti? Naqsh tauheed ka har dil pe bithaya hum ne, Zer-e-khanjar bhi yeh paigham sunaya hum ne. Tu hi kah de ke ukhara dar-e-Khyber kis ne, Shaher qaiser ka jo tha us ko kiya sar kis ne? _______________ Tore makhluq khudawandon ke paikar kis ne? Kaat kar rakh diye kaffaar ke lashkar kis ne? Aa gaya ain laraai mein agar waqt-e-namaz, Qibla roo ho ke zamin bos hui qaum-e-Hejaz, Ek hi saf mein khare ho gaye mahmud-o-Ayaz, No koi banda raha aur no koi banda nawaz. _______________ Banda-o-sahib-o-muhtaaj-o-ghani ek hue, Teri sarkar mein pahunche tau sabhi ek hue. Mehfil-e-kaun-o-makaan mein shar-o-shaam phire, Mai-e-tauheed ko lekar sift-e-jam phire. Dasht tau dasht hain, darya bhi na chhore hum ne, Bahr-e-zulmaat mein daura diye ghore hum ne. _______________ Safah-e-dahar se baatil ko mitaya hum ne, Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya hum ne, Tere kaabe ko jabeenon se basaya hum ne, Tere Quraan ko seenon se lagaya hum ne. Phir bhi hum se yeh gila hai, ke wafadar nahin, Hum wafadar nahin, tu bhi tau dildar nahin! _______________ Rahmaten hain tiri aghiyar ke kashaanon par, Barq girti hai tau bechare Musalmaanon par! Yeh shikait nahin, hain un ke khazane maamur, Nehin mehfil mein jinhen baat bhi karne ka shaoor, Qahar tau yeh hai ke kafir ko milen hoor-o-qasoor, Aur bechaare Musalmaan ko faqt waada-e-hoor!
  • 4. _______________ Taan-e-aghiyaar hai, ruswai hai, nadaari hai, Kya tere nam pe marne ka iwaz khwari hai? Hum tau jeete hain ke duniya mein tira naam rahe, Kahin mumkin hai saqi na rahe, jaam rahe? Teri mehfil bhi gai, chahne walw bhi gaye, Shab ki aahen bhi gaien, subah ke nale bhi gaye, _______________ Dil tujhe debhi gaye, apna sila le bhi gaye, Aa ke baithe bhi na the, ke nikaale bhi gaye. Aae ushaaq, gaye waada-e-farda lekar, Ab unhen dhoond chirag-e-rukh-e-zeba lekar! Dard-e-Laila bhi wohi, Qais ka pahlu bhi wohi, Nejd ke dasht-o-jabal mein ram-e-aahoo bhi wohi, _______________ Ishq ka dil bhi wohi, husn ka jaadoo bhi wohi, Ummat-e-Ahmed-e-Mursil bhi wohi, tu bhi wohi, Phir yeh aazurdagi-e-ghair-sabab kya maani, Apne shaidaaon pe yeh chashm-e-ghazab kya maani? Ishq ki khair, who pehli si ada bhi na sahi, Jaada paimaai taslim-o-raza bhi na sahi, _______________ Kabhi hum se, kabhi ghairon se shanasaai hai, Baat kahne ki nahin, tu bhi tau harjaai hai. Ahd-e-gul khatam hua, tut gaya saaz-e-chaman, Ur gaye dalion se zamzama pardaaz-e-chaman. Ek bulbul hai ke hai mahw-e-tarannum ab tak, Us ke seene mein hai naghmon ka talatam ab tak. _______________ Qumrian shaakh-e-sanober se gurezaan bhi huin, Pattian phool ki jhar jhar ke pareshan bhi huin; Who purani ravishen bagh ki weeran bhi huin, Daalian parahan-e-barg se uriaan bhi huin. Qaid-e-mausim se tabiat rahi aazad uski, Kaash gulshan mein samjhta koi faryaad uski.
  • 5. _______________ Chaak is bulbul-e-tanha ki nawa se dil hon, Jaagne wale isi baang-e-dara se dil hon. Yaani phir zinda naye ahd-e-wafa se dil hon, Phir isi bada-e-deereena ke pyaase dil hon. Ajmy khum hai tau kya, mai tau Hejaazi hai miri, Naghma Hindi hai tau tya, lai tau Hejaazi hai miri. _______________
  • 6. Jawab-e-Shikwa Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai, Par nahin, taaqat-e-parwaaz magsr rakhti hai. Qudsi-ul-asal hai, rif-atpe nazar rakhti hai, Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai. Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mira, Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mira. _______________ Pir-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi! Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-barin hai koi! Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi! Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi! Kuchh jo samjha tau mere shikwe ko Ruzwan samjha, Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha. _______________ Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya! Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya! Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya? Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya? Ghaafil aadaab se yeh sukkaam-e-zamin kaise hain, Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain, _______________ Is qadar shokh ke Allah se bhi barham hai, Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai? Aalam-e kaif hai, dana-e-ramuz-e-kam hai, Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai. Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko, Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko! _______________ Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tira, Ashk-e-betaab se labrezhai paimana tira. Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne, Hum sakhun kar diyabandon ko khuda se tu ne. Hum tau mayal ba-karam hai, koi sayal hi nahin, Rah dikhlain kise rahraw-e-manzil hi nahin.
  • 7. _______________ Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin, Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin. Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain; Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain! Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain, Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain. _______________ But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain, Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain. Bada aasham naye baaqi naya khum bhi naye, Harm-e-Kaaba naya, but bhi naye, tum bhi naye. Who bhi din the ke yehi maya-e-raanai tha, Naazish-e-mausim-e-gul lala-e-sahraai tha! _______________ Jo Musalmaan tha Allah ka saudai tha, Kabhi mehboob tumhara yehi harjaai tha. Safah-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne? Nau-e-insaan ko ghulami se chhuraya kis ne? Mere Kaabe ko jabeenon se basaya kis ne? Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne? _______________ The tau aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho? Haath par haath dhare muntezir-e-farda ho! Kya kaha? "bahr-e-musalmaan hai faqt waade-e-hur," Shikwa beja bhi kare koi tau laazim hai shaoor! Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur, Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur; _______________ Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin, Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin. Munfait ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek, Ek hi sab ka nabi, din bhi, imaan bhi ek, Harm-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek, Kuchh bari baat thi hote jo musalmaan bhi ek!
  • 8. _______________ Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain. Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain? Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib, Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib. Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib, Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib. _______________ Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se, Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se. Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood, Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood? Waza mein tum ho nisari, tau tamuddan mein Hanood, Yeh musalmaan hain! Jinhen dekh ke sharmain Yahud? _______________ Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho, Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho! Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai, Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai? Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem, Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim! _______________ Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai, Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai. Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai, Millat-e-khatam-e-rasal shoula ba parahan hai. Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali, Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali, _______________ Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali, Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali. Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai, Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai. Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka, Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka.
  • 9. _______________ Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera, Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera. Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu, Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu. Ki Mohammed se wafa tu ne tau hum tere hain, Yeh jahan cheez hai kya, lauh-eo-qalam tere hain. _______________