SlideShare uma empresa Scribd logo
1 de 18
Baixar para ler offline
Sikh Silsala-Eak Motala
Mashraqi Punjab donyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai.
Zara'ay aur wasael-e-qudrat kay hawala say bhi donyan kay kisi
kitay say kisi tara kam nahain. Is alaqa kay moqimi hazraat
Hazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajun aur
adtun sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darja
jafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat
main dakhal hi nahain. Onhain alag say koee
mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki
pehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai.
Sikh kay maeni
sikhnay wala,
jan'kari ka talib,
aaghi kay amal say gozarnay wala,
jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm waghera
Hoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siray
say mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liay
ziyada'tar ostad aur goru alfaz istamal main aatay hain.
Goru woh jo gur janta ho,
atkal say waqaf,
tajarba'kar,
kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala,
hal nikalnay wala,
hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad,
ostad waghera maeni mostamal hain.
Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay to
ostad shagid kaha ja sakta hai.
Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai
is liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os
say towaqo nahain ki ja sakti.
Is garo kay haan dou chizain bari wazay nazar aati hain
1- Toheed jo adyan ki konji hai
2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o
-wasila hai
Yah garo donyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqriban
qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashi
hawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koee
alag say ya naee cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat ka
natija hain.
Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaat
mosalmanoon ki se rakhtay hain is kay ba'vajood woh Esae hi
hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan
takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Is kay ba'vajood oonhain
Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai aur woh hai.
Is vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism
kay mota'aluq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aur
ziyadti hai.
Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say mota'alaq hain
aur is silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru
Nanak-ji Dav hain.
Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kay
hawala say kaha hai :
"Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitab
kach rakhday san. Ais kitab vich
ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan da
kalaam daraj kar day san"(1)
Agar koee onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay ya
Sheik Nanak keh lay is say kuch farq nahain parta.
Onhoon nay Makka ka safar ikhtayar kiya baghdaad main
qayam farmya.
Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon par
Darood-o-salam) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon par
Darood-o-salam) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar pati
hai. Bilkul issi tara Guru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki
taraf safar ikhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman
aur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay
Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rule
kay tehat Kafar kaha ja sakta hai.
Her Sufi guru apnay libas aur nazaryati toor par apni alag say
shanakht rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru Garanth
Sahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib
(R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaan
mosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri Garanth
Sahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata
hai is liay wo mohtam hai. Is silsalay kay log sikh kehlatay hain
jabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai.
Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya,
Silsala Shitarya waghera.
Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kay
Khalifa/Gadi'nashein/Divan Sahiban kay namoon say malqoob
hazraat moqarar hotay rehtay hain aur is tara yah silsalay
jari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazar
aata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat
Sufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat
Goru (Khulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay
sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. In Sahiban ba'safa nay
Goru Garanth Sahib ki tadvein bhi ki, is main la'jawab azafay bhi
kiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kay
pannoon ki zinat banay.
Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki
haad'darja mehman navazi ki. Is liay mehman'navazi aur
khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya ja
sakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haan
aisi koee naee baat nahain. Hamait, is say bilkul alag cheez hai. Is
silsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'siraf panah di
balkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed
bonyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed is amar
ki khuli daleel hai kah sikh koee alag say dharam nahain balkah
sufi silsalay ki eak kari hai.
Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay istamal
main hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja
rakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru
Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'aluq bhi Syed Family say
hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shah
al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib Punjabi zoban kay sufi
shair thay. Mein nay kaee martaba oon kay monh say "Baba
Goru Nanak" sona. woh "Baba-ji Goru Nanak" Sahib kay liay
bara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib ki
bohat sari baniyaan zobani yaad thein.
Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef ka
doodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aur
doodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizain
samaji ravait nahain hain. In ka ta'aluq mazhab say hai. Mein
aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khud
aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai ya
nahain.
Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatay
hain:
Maal paraya nanaka laho barabar jan
Eak aur bani sonay
kalma kahaan tay kal (2) poway bin kamioon vi na
Hindu kahaan tay marya musalman vi na
Yahaan woh musalman marad hai jo sair ka tein pao tolta hai.
Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain.
Gulbargha aur kaee dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhab
ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat anjam di. Syed
Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai.
Ta'hum bonyadi baat jo is bool ka lob-e-labab hai wo "bin
kamioon vi na" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda main
rakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya say
alag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haan
namayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag
nahain hain.
Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat say
Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikh
na'siraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitay
hain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aur
ehtaram say hazri daitay hai.
Musalman in sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah ohain
mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahi
surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadaee yah
shabad malahza hoon:
"One Universal Creator God. The Name Is Truth. "
sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru Nanak
Dev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah ka
manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala say
musalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar is say mukhtalif
nahain.
"Dayemi Complex Bangladesh"
kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi is kay
darwazay kholay rahay hain.
Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam is
waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Is hawala say oon
ka Sikh silsalay say bhi gehra ta'aluq banta hai. goya jahaan woh
digar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay
kay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaat
main faiz othanay kay moqay mayasar hain.
zara sonain to:
https://www.youtube.com/watch?v=ckjw6JC2ZA4
----------------------------------------------
1-Akhya Baba Fareed Nay p.47,
Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001
2-larae, jagra, kil kil, takrar waghera
3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib
Wed Apr 29, 2009 2:03 pm
_________________
urfi67
Forum Family Member
thx 4 sharing
Wed Apr 29, 2009 2:36 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
shukarriya janab
_________________
http://www.forumpakistan.com/sikh-silsala-eak-motala-t26890.
html#ixzz4GLNu1XQo
Ab Guru Garanth sahib ki yah baniyaan sonain:
https://www.youtube.com/watch?v=5HTn_eX1tok
https://www.youtube.com/watch?v=mmKRO-yuoHw
https://youtu.be/uh3YgRkvC08
Sikh Silsala-Eak Motala
Sikh Silsala-Eak Motala

Mais conteúdo relacionado

Mais procurados

Mais procurados (19)

Lafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahaniLafz Hind ki kahani
Lafz Hind ki kahani
 
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH  URDU HAIKU  HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT,  EaK MOTALAH
URDU HAIKU HAIAT, TAJARBAAT AUR TAGHERAAT, EaK MOTALAH
 
Geet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor LyricsGeet Aur Zaboor Lyrics
Geet Aur Zaboor Lyrics
 
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?  BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
BIMARI ZAHMAT YA RAHMAT?
 
Ashrafi dulha (roman urdu)
Ashrafi dulha (roman urdu)Ashrafi dulha (roman urdu)
Ashrafi dulha (roman urdu)
 
Rooh ki barish
Rooh ki barishRooh ki barish
Rooh ki barish
 
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
Khudi na bach  gharibi main naam paida kar Khudi na bach  gharibi main naam paida kar
Khudi na bach gharibi main naam paida kar
 
Geet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor LyricsGeet aur Zaboor Lyrics
Geet aur Zaboor Lyrics
 
Maqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaatMaqsood Hasni ke taies moqalaat
Maqsood Hasni ke taies moqalaat
 
Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1Zaboor 91 part 1
Zaboor 91 part 1
 
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanainAwazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
Awazain Alfaz Ishtarak Aur zobanain
 
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena mainUrdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
Urdu tarikhi, adbi aur lisani aaena main
 
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraatArbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
 
Zaboor 84
Zaboor 84Zaboor 84
Zaboor 84
 
Jabr, Zindagi, Insan aur Asri taqazay
Jabr, Zindagi, Insan  aur  Asri taqazayJabr, Zindagi, Insan  aur  Asri taqazay
Jabr, Zindagi, Insan aur Asri taqazay
 
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہےقومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
قومی ترقی اپنی زبان میں ہی ممکن ہے
 
english_asaramayan
english_asaramayanenglish_asaramayan
english_asaramayan
 
All baba songs
All baba songsAll baba songs
All baba songs
 
Ashrafi anthem Ya Ashrafi Tarana
Ashrafi anthem Ya Ashrafi TaranaAshrafi anthem Ya Ashrafi Tarana
Ashrafi anthem Ya Ashrafi Tarana
 

Semelhante a Sikh Silsala-Eak Motala

Semelhante a Sikh Silsala-Eak Motala (20)

Suraj ko rook lo
Suraj ko rook loSuraj ko rook lo
Suraj ko rook lo
 
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmainmaqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
maqsood hasni ki roman khat main urdu nazmain
 
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay NahainTakht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain
 
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat 	Mazeed haroof  ki  tashkeel ki zarorat
Mazeed haroof ki tashkeel ki zarorat
 
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab	lisanyaat say motalaq  kuch  sawal jawab
lisanyaat say motalaq kuch sawal jawab
 
Hayat e Goraizaan
Hayat e GoraizaanHayat e Goraizaan
Hayat e Goraizaan
 
Asaramayan english
Asaramayan englishAsaramayan english
Asaramayan english
 
Istaghfaar ke Barakaat-hyderabad india
Istaghfaar ke Barakaat-hyderabad indiaIstaghfaar ke Barakaat-hyderabad india
Istaghfaar ke Barakaat-hyderabad india
 
~ Surah Hujaraat ~
~ Surah Hujaraat ~~ Surah Hujaraat ~
~ Surah Hujaraat ~
 
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeriProf. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
Prof. Maqsood Hasni ki Punjabi aur punjabi’nama shaeri
 
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad hoWo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
Wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
 
Insan aur zobanain
Insan aur zobanainInsan aur zobanain
Insan aur zobanain
 
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya By Mujahid e Islam syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya By Mujahid e Islam syed alamgir ashrafShajra aliyah qadriyah ashrafiya By Mujahid e Islam syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya By Mujahid e Islam syed alamgir ashraf
 
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA  MASLA
URDU KAY RASAM-ul-KHAT KI TABDILI KA MASLA
 
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashrafShajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
Shajra aliyah qadriyah ashrafiya by syed alamgir ashraf
 
Muharram Aur Ham Enghlish Book.pdf
Muharram Aur Ham Enghlish Book.pdfMuharram Aur Ham Enghlish Book.pdf
Muharram Aur Ham Enghlish Book.pdf
 
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTAMAREEZ  KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
MAREEZ KANSAR KAY JARSUMAY SAY NAHAIN MARTA
 
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAHARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
 
Pyar pane ka wazifa
Pyar pane ka wazifaPyar pane ka wazifa
Pyar pane ka wazifa
 
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farqJamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
Jamaat ul muslimeen haq aur ahle hadees main farq
 

Mais de maqsood hasni

Mais de maqsood hasni (20)

چودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہےچودہ اگست اک دن ہے
چودہ اگست اک دن ہے
 
مقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیںمقصود حسنی کی نظمیں
مقصود حسنی کی نظمیں
 
The languagr problem
The languagr problemThe languagr problem
The languagr problem
 
کچھ نظمیں
کچھ نظمیںکچھ نظمیں
کچھ نظمیں
 
زیادہ تر
زیادہ ترزیادہ تر
زیادہ تر
 
TWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIESTWELVE SHORT STORIES
TWELVE SHORT STORIES
 
منار زیست پر
منار زیست پرمنار زیست پر
منار زیست پر
 
Miracle of arts
  Miracle of arts  Miracle of arts
Miracle of arts
 
دس واکا نظمیں
دس واکا نظمیںدس واکا نظمیں
دس واکا نظمیں
 
کیچڑ کا کنول منظومہ
 کیچڑ کا کنول  منظومہ کیچڑ کا کنول  منظومہ
کیچڑ کا کنول منظومہ
 
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
پروفیسر سید مقصود حسنی-شخصیت اور افکار
 
Pandora
PandoraPandora
Pandora
 
Japanese poetry
Japanese poetryJapanese poetry
Japanese poetry
 
Sailing stones of death valley
Sailing stones of death valleySailing stones of death valley
Sailing stones of death valley
 
چودہ ہائیکو
چودہ ہائیکوچودہ ہائیکو
چودہ ہائیکو
 
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
چینی طرز پر اسلامی کیلوگرافی
 
طلاق
 طلاق طلاق
طلاق
 
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
izhar pr pabandigi khatar’nak hoti hai
 
The World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years AgoThe World 50,000 Years Ago
The World 50,000 Years Ago
 
Adam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridgeAdam-Ram’s bridge
Adam-Ram’s bridge
 

Último

BASLIQ CURRENT LOOKBOOK LOOKBOOK(1) (1).pdf
BASLIQ CURRENT LOOKBOOK  LOOKBOOK(1) (1).pdfBASLIQ CURRENT LOOKBOOK  LOOKBOOK(1) (1).pdf
BASLIQ CURRENT LOOKBOOK LOOKBOOK(1) (1).pdf
SoniaTolstoy
 
The basics of sentences session 2pptx copy.pptx
The basics of sentences session 2pptx copy.pptxThe basics of sentences session 2pptx copy.pptx
The basics of sentences session 2pptx copy.pptx
heathfieldcps1
 
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdf
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdfActivity 01 - Artificial Culture (1).pdf
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdf
ciinovamais
 
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global ImpactBeyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
PECB
 

Último (20)

Accessible design: Minimum effort, maximum impact
Accessible design: Minimum effort, maximum impactAccessible design: Minimum effort, maximum impact
Accessible design: Minimum effort, maximum impact
 
9548086042 for call girls in Indira Nagar with room service
9548086042  for call girls in Indira Nagar  with room service9548086042  for call girls in Indira Nagar  with room service
9548086042 for call girls in Indira Nagar with room service
 
Z Score,T Score, Percential Rank and Box Plot Graph
Z Score,T Score, Percential Rank and Box Plot GraphZ Score,T Score, Percential Rank and Box Plot Graph
Z Score,T Score, Percential Rank and Box Plot Graph
 
Class 11th Physics NEET formula sheet pdf
Class 11th Physics NEET formula sheet pdfClass 11th Physics NEET formula sheet pdf
Class 11th Physics NEET formula sheet pdf
 
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdfSanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
Sanyam Choudhary Chemistry practical.pdf
 
BASLIQ CURRENT LOOKBOOK LOOKBOOK(1) (1).pdf
BASLIQ CURRENT LOOKBOOK  LOOKBOOK(1) (1).pdfBASLIQ CURRENT LOOKBOOK  LOOKBOOK(1) (1).pdf
BASLIQ CURRENT LOOKBOOK LOOKBOOK(1) (1).pdf
 
Measures of Dispersion and Variability: Range, QD, AD and SD
Measures of Dispersion and Variability: Range, QD, AD and SDMeasures of Dispersion and Variability: Range, QD, AD and SD
Measures of Dispersion and Variability: Range, QD, AD and SD
 
microwave assisted reaction. General introduction
microwave assisted reaction. General introductionmicrowave assisted reaction. General introduction
microwave assisted reaction. General introduction
 
Disha NEET Physics Guide for classes 11 and 12.pdf
Disha NEET Physics Guide for classes 11 and 12.pdfDisha NEET Physics Guide for classes 11 and 12.pdf
Disha NEET Physics Guide for classes 11 and 12.pdf
 
Explore beautiful and ugly buildings. Mathematics helps us create beautiful d...
Explore beautiful and ugly buildings. Mathematics helps us create beautiful d...Explore beautiful and ugly buildings. Mathematics helps us create beautiful d...
Explore beautiful and ugly buildings. Mathematics helps us create beautiful d...
 
A Critique of the Proposed National Education Policy Reform
A Critique of the Proposed National Education Policy ReformA Critique of the Proposed National Education Policy Reform
A Critique of the Proposed National Education Policy Reform
 
Grant Readiness 101 TechSoup and Remy Consulting
Grant Readiness 101 TechSoup and Remy ConsultingGrant Readiness 101 TechSoup and Remy Consulting
Grant Readiness 101 TechSoup and Remy Consulting
 
Paris 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activityParis 2024 Olympic Geographies - an activity
Paris 2024 Olympic Geographies - an activity
 
The basics of sentences session 2pptx copy.pptx
The basics of sentences session 2pptx copy.pptxThe basics of sentences session 2pptx copy.pptx
The basics of sentences session 2pptx copy.pptx
 
Measures of Central Tendency: Mean, Median and Mode
Measures of Central Tendency: Mean, Median and ModeMeasures of Central Tendency: Mean, Median and Mode
Measures of Central Tendency: Mean, Median and Mode
 
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdf
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdfActivity 01 - Artificial Culture (1).pdf
Activity 01 - Artificial Culture (1).pdf
 
Software Engineering Methodologies (overview)
Software Engineering Methodologies (overview)Software Engineering Methodologies (overview)
Software Engineering Methodologies (overview)
 
Q4-W6-Restating Informational Text Grade 3
Q4-W6-Restating Informational Text Grade 3Q4-W6-Restating Informational Text Grade 3
Q4-W6-Restating Informational Text Grade 3
 
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global ImpactBeyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
Beyond the EU: DORA and NIS 2 Directive's Global Impact
 
Sports & Fitness Value Added Course FY..
Sports & Fitness Value Added Course FY..Sports & Fitness Value Added Course FY..
Sports & Fitness Value Added Course FY..
 

Sikh Silsala-Eak Motala

  • 1.
  • 2. Sikh Silsala-Eak Motala Mashraqi Punjab donyaan ki bohat bari aabadi ka khita hai. Zara'ay aur wasael-e-qudrat kay hawala say bhi donyan kay kisi kitay say kisi tara kam nahain. Is alaqa kay moqimi hazraat Hazrat Goru Nanakji Dev kay pairu'kar hain. Mazajun aur adtun sachay sochay kharay baat kay pakkay aur haad darja jafa'kash hain. Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat main dakhal hi nahain. Onhain alag say koee
  • 3. mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki pehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai. Sikh kay maeni sikhnay wala, jan'kari ka talib, aaghi kay amal say gozarnay wala, jo honar sikh raha ho, talib-e-ilm waghera Hoonar dainay walay kay liay yahaan lafaz Nabi ya Rasool siray say mostamal nahain. Honar ya aaghi dainay walay kay liay ziyada'tar ostad aur goru alfaz istamal main aatay hain. Goru woh jo gur janta ho, atkal say waqaf,
  • 4. tajarba'kar, kisi okar main os okar say bach nikalnay ka rasta batanay wala, hal nikalnay wala, hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo, murshad, ostad waghera maeni mostamal hain. Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay to ostad shagid kaha ja sakta hai. Bawar rehna chahiay kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai is liay gor sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os say towaqo nahain ki ja sakti. Is garo kay haan dou chizain bari wazay nazar aati hain 1- Toheed jo adyan ki konji hai
  • 5. 2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab zariya-o -wasila hai Yah garo donyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya taqriban qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti ya moashi hawala say kahein kah mamaslatain nazar aati hain to yah koee alag say ya naee cheez/baat nahain aur yah vasaibi qorbat ka natija hain. Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasomaat mosalmanoon ki se rakhtay hain is kay ba'vajood woh Esae hi hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Is kay ba'vajood oonhain Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai aur woh hai. Is vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya Hinduism
  • 6. kay mota'aluq qarar nahain diya ja sakta yah sara sar zulm aur ziyadti hai. Asal haqiqat yah hai kah yah log Sufi silsalay say mota'alaq hain aur is silsalay kay bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru Nanak-ji Dav hain. Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas (1559-1637) kay hawala say kaha hai : "Goru Nanak ji he odasi (safar) samay asa (lath) hath tay kitab kach rakhday san. Ais kitab vich ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan tay sufiyaan da kalaam daraj kar day san"(1) Agar koee onhain goru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh lay ya Sheik Nanak keh lay is say kuch farq nahain parta.
  • 7. Onhoon nay Makka ka safar ikhtayar kiya baghdaad main qayam farmya. Jumla Sufya kay silsalay Hazrat Mohammad (Oon par Darood-o-salam) ki taraf phirtay hain aur Aap (Oon par Darood-o-salam) ki mohabat oon ka matma-e-nazar qarar pati hai. Bilkul issi tara Guru Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki taraf safar ikhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman aur rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur rule kay tehat Kafar kaha ja sakta hai. Her Sufi guru apnay libas aur nazaryati toor par apni alag say shanakht rakhta/qaem kata hai. Yahhi Surat Goru Garanth Sahib say motalaq logoon kay sath nathi hai. Baba Fareed Sahib
  • 8. (R) kay shalok aur Shah Hussain Sahib (R) Lahori ki kafiyaan mosalmanoon kay haan mohtram hain ossi tara Sri Garanth Sahib ka her shabad Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata hai is liay wo mohtam hai. Is silsalay kay log sikh kehlatay hain jabkah yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai. Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala Soharvardiya, Silsala Shitarya waghera. Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay oon kay Khalifa/Gadi'nashein/Divan Sahiban kay namoon say malqoob hazraat moqarar hotay rehtay hain aur is tara yah silsalay jari-o-sari rahay hain aur yah amal sadyoon par moheet nazar aata hai. Sikh silsala kay bani Harat Goru Nanak Dev/Hazrat Sufi Nanak Sahib kay silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat Goru (Khulfa) Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay
  • 9. sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. In Sahiban ba'safa nay Goru Garanth Sahib ki tadvein bhi ki, is main la'jawab azafay bhi kiay. Goya oon kay mohtram shabad Goru Garanth Sahib kay pannoon ki zinat banay. Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki haad'darja mehman navazi ki. Is liay mehman'navazi aur khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain diya ja sakta. Yah amal salamti pasandoon (Muslamanoon) kay haan aisi koee naee baat nahain. Hamait, is say bilkul alag cheez hai. Is silsalay kay eak Goru Sahib ko Syedoon nay na'siraf panah di balkah oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed bonyadi toor par Sufi thay. Goru Sahib ki Hamait-o-taed is amar ki khuli daleel hai kah sikh koee alag say dharam nahain balkah sufi silsalay ki eak kari hai.
  • 10. Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar sufya kay liay istamal main hota aaya hai aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja rakhta hai. Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'aluq bhi Syed Family say hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam Hazoor Shah al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib Punjabi zoban kay sufi shair thay. Mein nay kaee martaba oon kay monh say "Baba Goru Nanak" sona. woh "Baba-ji Goru Nanak" Sahib kay liay bara ehtaram rakhtay thay. Onhain Siri Goru Garanth Sahib ki bohat sari baniyaan zobani yaad thein. Oon hi ki zobani maloom para kah sikh giyarvein shareef ka doodh nikaltay thay. Dass Moharam ko sikh sahiban pani aur doodh ki sabilain lagaya kartay thay. Her doo motzakra chizain samaji ravait nahain hain. In ka ta'aluq mazhab say hai. Mein
  • 11. aaj kay amrat'sar/mashraqi punjab say ba'chasham-e-khud aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah surat wahaan mojood hai ya nahain. Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay aatay hain: Maal paraya nanaka laho barabar jan Eak aur bani sonay kalma kahaan tay kal (2) poway bin kamioon vi na Hindu kahaan tay marya musalman vi na Yahaan woh musalman marad hai jo sair ka tein pao tolta hai. Allah ki zamein par fasad aur dehshat gardi phalata hain. Gulbargha aur kaee dosri jagoon par sufioon nay apnay mazhab ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat anjam di. Syed
  • 12. Sahiban takya main rahay aur yah surat aaj bhi mojood hai. Ta'hum bonyadi baat jo is bool ka lob-e-labab hai wo "bin kamioon vi na" hai. Baba-ji(3) nay apna intasaab parda main rakha. Sikhanay kay amal ko libasi hawala say digar sufiya say alag rakha ta'hum digar sufiya kay kalaam ko apnay haan namayaan jaga day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag nahain hain. Musalmaanoon ka eak acha khasa tabqa bari aqidat say Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita nazar aata hai. Sikh na'siraf Hazrat Nanak Sahib kay Darbarpar par hazri daitay hain balkah digar sufiya kay Darbaroon par bhi mohabat aur ehtaram say hazri daitay hai. Musalman in sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah ohain
  • 13. mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak hai yahi surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib kay ibtadaee yah shabad malahza hoon: "One Universal Creator God. The Name Is Truth. " sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru Nanak Dev ko Allah nahain, Goru mantay hain aur onhain Allah ka manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay hawala say musalmanoon ka nazariya aur noqata-e-nazar is say mukhtalif nahain. "Dayemi Complex Bangladesh" kabi kisi kay liay tang nahain para. Sikhoon kay liay bhi is kay darwazay kholay rahay hain. Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam is
  • 14. waqat alam-e-insani kay Rohani Paishwa hain. Is hawala say oon ka Sikh silsalay say bhi gehra ta'aluq banta hai. goya jahaan woh digar Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay kay bhi Goru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi halaat main faiz othanay kay moqay mayasar hain. zara sonain to: https://www.youtube.com/watch?v=ckjw6JC2ZA4 ---------------------------------------------- 1-Akhya Baba Fareed Nay p.47, Pakistan Punjabi Adbi Board, Lahore 2001 2-larae, jagra, kil kil, takrar waghera 3-Hazrat Sufi Sheik Baba Nanak Sahib
  • 15. Wed Apr 29, 2009 2:03 pm _________________ urfi67 Forum Family Member thx 4 sharing Wed Apr 29, 2009 2:36 pm Dr Maqsood Hasni Senior Proud Pakistani shukarriya janab _________________ http://www.forumpakistan.com/sikh-silsala-eak-motala-t26890. html#ixzz4GLNu1XQo
  • 16. Ab Guru Garanth sahib ki yah baniyaan sonain: https://www.youtube.com/watch?v=5HTn_eX1tok https://www.youtube.com/watch?v=mmKRO-yuoHw https://youtu.be/uh3YgRkvC08