Al Mahasin - baabul-mafakherat - Jahiz Usmani
Tarjuma: Khan Bahadur Syed Aulad Haider Fauq* Belgrami.
Yeh kitab ' Almahasin wal azdad, ka bab al mafakherat Arab ke qadeem aur mashoor adeeb 'Jahiz Usmani' ki tasneef hai, jo Mutawakkil Billah, Khalifa Abbasi ke larkon ka muallim tha aur mukhalefate Ahle Bayt meiN khas taur par mashoor tha.
Yeh kitab adabiyaat wa ikhlaqiyaat ka kamil makhzan hai, aur ismein tareekhi maloomaat ka kafi zakheera maujood hai. Fasahat wa balaghat ka aala namoona hai. U. P. Government ne qadrdani karke apne Arabi nisab meiN isey dakhil kar liya hai. Asl Arabi kitab Masr (Egypt) ke Matba As'sada (Near Diwan e Muhafezat, Masr) meiN chapi hai.
Tarjuma: 1351 Hijri.
Courtesy: Syed Ashtar Abbas, Aurangabad.