Mattingly "AI & Prompt Design: The Basics of Prompt Design"
Hindi debate:Hindi Bhasha ka vartamaan samay mein Auchitya
1. Adarniya nirnayak samiti, samast sanyojak evom mere yogya pratidvandion ko mera sadar
naman. Main Anushka Sahu, Global Public School ki chatra, is hindi divas ke mauke par ayojit
vad-vivad prtiyogita ke vishay ”hindi bhasha ka vartman samay main auchitya” par purna nishtha
se apne vichaar vipaksh mein rakhna chahungi. Mere liye aaj ke samay main hindi ka koi
auchitya nahi hai.
Hum har saal hindi divas ko 14 sitambar ke din, hindi ko humari rajbhasha ke roop me apnae
jaane ke samman main manate hain. Mere kabil doston ne hindi ko rajbhasha batate hue satvein
aasman par bitha diya hai, par vo yeh n bhulein ki jitni uchai par hote hain utni hi zor se girte hain.
Are bhai hum sab garv se khete phirte hai ki haan hume hindi nahi aati! Aur humare mata pita
shbashi de kar khete hai ki beta hume tumse yahi chahiye tha! to jab miyan biwi razi to kya
karega kazi!
Is desh main jahan 28 rajya, 8 se zyada dharm aur 22 bhshayein nivaas karti hain vahan ek
bhasha ka sarvochh hona kaise sambhav hai!
Chaliye main aapko prachin samay ki sair karti hun:
Jhannsi ki Rani Laxmi Bai ki viceroy Dalhousie ko likhi chithi persian mein thi, hindi main nahi.
Lagbhag ek shatak pashchat apni suputri indu ko likhe Jawaharlal Nehru ke patra bhi angrezi jaisi
videshi bhasah mein hi the. Kya is ke liye mere dost koi tark pesh kar sakte hian?
Raj bhasha, vahi hoti hai na doston jo pure desh ko jode rekhe, parantu hamre mulk main to keval
40% log hi hindi ka prayog karte hain. Aur sahi mayno main angrzi hi pure sansar ko jode hai.
Evam hindi to ab tak rashtrabhasha bhi nahi ban payi. Shetriya log ataynt samasya mahsus karte
hain iska upyog karne main. Aur maharashatra jaise rajyon main maujood thackrey parivaar to
kabhi hindi ko apne rajya main kadam bhi nahi rakhne denge.
Aaj sansar ek global village ban chuka hai jahan kab aapko kis bhashit vyakti se milna pad jay koi
nahi janta. Hume keval apne parivaar se hi vartalaap nahi karna hai. Aaj rajsthan main hi dekh
lijiye apko kerilayi bhi milenge to angrez bhi ab aap sab se to hindi bolkar apna kaam nahi chala
sakte!
shiksha aur naukri ko hi le lijiye! Apko kisi vishay par agar sampurna adhyayan karna ho to
behtrar hoga ki usi bhasah mein pada jay tabhi kuch laabh hoga, ab har cheez ko anuvaadit
karna bhi sambhav nahi hai.
Hindi bolkar Aap kisi bhi naukri ke liye upyukt ummidvaar nahi mane jate. Aap ko koi gambhirtha
se nahi leta. Phir kyun karein hum hindi ka prayog??
2. Mere prativadi aap se kahenge ki bhasha to keval bhvnaon ki mokhik abhivyakti hai parnantu aaj
21vi sadi ke is daur main aapka vyaktitva, apka charitra, apki yogyta v pka surakshit bhavishya
apki bhasha aur bol chal se hai. hum sab jaante hai ki yah ‘bhudi’ hindi hume nahi de sakti!
Supreme or high courts mein sunvayi bhi angrezi mein hoti hai. kaanun swamya hindi se ktrata
hai! to hum kyun nahi?
Kyun hindi ko hum par thopa ja raha hai? kya is swatantra desh mein hum swatantrta se kisi aur
bhasha ka pryaog bhi nahi kar sakte?
Ma hume hindi sikhati hai
Par skul main use bolne par 5r zurmana dena padta hai
Interview main bolne par naukri deni padti hai
Office main bolne par hazaron ka nuksaan
To hum is bolen kyun?
Ya I know: bollywood movies dekhne ke liye1 kyunki hindi mein to ab sirf vahi milti hai! Humare
neta bhiu angrezi main hi bhashan dete hain.
Dhanyavad.